1. renova music kya hai:
renova music ayk essi application hai, jiss k zariyay aap apni passandida mosiqi ko youtube say download kar saktay hain, aur agar chaahain toh bina download kiyay unhain sun bheeh saktay hain.
issay istemaal karna bohot aasaan hai.

1.1. menu tak rasai:
buss alt kaa button dabaain aur RenovaMusic kaa menu aap k liyay khul jaayga.

1.2. program ko tarteeb dayna:
alt kaa button dabaahtay he up arrow kaa istemaal kar k intakhaabaat may jaain aur enter dabaain. tab kee madad say intakhaabaat ko daykhain aur arrow keys kee madad say matlooba intakhaab karain. intakhaab karnay k liyay ok kaa button dabaain aur radd karnay k liyay cancel kaa button dabaain.
zubaan: yeh matlooba zubaan kaa intakhaab karnay may aap kee madad karayga.
server: uss server kaa intakhaab karain jiss k zariyay aap talaash karna passand karaingay.
sampling rate: yahaan aap matlooba sampling rate kaa intakhaab kar sakaingay.
audio bitrate: iss say audio bitrate ko tarteeb diya ja sakayga.
download kee gaie file kaa format: jiss format may aap download karna chaahtay hain, yahaan uss kaa intakhaab karain.
talaash kee fehrist may nataaij kee mikdaar: yahaan aap yeh intakhaab karaingay k talaash kartay waqt kitni nikdaar may nataaij aap k saamnay paysh kiyay jaain. had 25 say 500 hai.
download kaa folder: yahaan aap yeh tarteeb daingay k aap k zariyay download kee gaie file ko kiss jagah mehfooz kiya jaay.
pehlay say muntakhib-shuda: woh folder jahaan sabbhi files mehfooz kee jaain-gie.
program folder: woh khaass jagah jahaan RenovaMusic k zariyay download kee gaie mosiqi ko mehfooz kiya jaayga.
tarteeb diya hua: aap apni passand k mutaahbiq folder kaa intakhaab kar sakaingay. issay istemaal karnay k liyay tab kaa istemaal karain, aur tarteeb daynay k liyay enter button kaa istemaal karain.
khudkaar nikdaar: jab issay muntakhib kar diya jaayga toh yeh dikhaayga k mosiqi kiss tarah aap k liyay paysh kee ja rahi hai.
nataaij ko fehrist may fraaham karain: yeh bataayga k nataaij aap k liyay kiss tarah paysh kiyay ja rahay hain.

2. menu:
yahaan hum RenovaMusic kee kuch khasoosiyaat k baaray may jaanain-gay aur yeh bheeh jaanain-gay k yeh kaam kiss tarah karta hai.
2.1. talaash: iss k zariyay aap mosiqi, playlist, channels aur bohot kuch talaash sakaingay. issay istemaal karna bohot aasaan hai. muqammal maalum-aat teesray unwaan may fraaham kee jaay-gie. alt dabaahnay k baad buss ayk dafa right arrow kaa istemaal karain aur daykhain.

2.2. passandida: iss intakhaab par right arrow kaa istemaal kar k aap apni passandida zumraah kaa intakhaab kar sakaingay aur passandida zumra par enter dabaahnay say aap ko uss k andar tarteeb dee gaie passandida cheezain mil jaain-gie. matlooba intakhaab ko passandeed-gie kee fehrist may shaamil karnay k liyay control+f aur hataahnay k liyay shift+f kaa istemaal karain. aur agar passandeed-gie talaash k zumra say taaluq rakhti hai toh issay shaamil karnay k liyay control+s aur hataahnay k liyay shift+s kaa istemaal karain. maujooda zumra: vidios, playlist, channel, surveys aur radio.

2.3 folder chalaahna: aap jiss folder ko chalaahna chaahtay hain uss kee maujooda jagah, yaani jahaan woh folder rakha gaya hai, paste karain. folder load hoga aur aap ussay sun sakaingay.

2.4 mosiqi chalaahna: agar aap mosiqi chalaahna chaahtay hain, toh aap matlooba mosiqi kaa link  paste karain, yaa woh jagah paste kar dain jahaan aap k computer may naghmay rakhay gaay hain. buss phir aap inhain RenovaMusic par sun sakaingay.

2.5. folder ko tabdeel karna: yeh aap ko yeh slaahiyat fraaham karta hai k aap kissi ayk folder may maujood files ko ayk saath tabdeel kar sakain. iss kaa intakhaab karnay say aap ko maujooda folders kee fehrist mil jaaygi. matlooba intakhaab karnay k liyay alt+s kaa istemaal karain. aap k saamnay folders kee ayk feirist khul jaaygi, matlooba intakhaab karain, jahaan aap tabdeel-shuda files ko mehfooz karna chaahaingay. buss enter dabaain. buss, folder may tabdeeli shuru ho jaaygi.

2.6. audio ko vidio may tabdeel karna: matlooba intakhaab karnay par aap kissi bheeh audio file ko image file laga kar audio say vidio may tabdeel kar sakaingay. yeh youtube par vidio post karnay may bohot madad-ghaar ho sakta hai.

2.7 matlooba-intakhaabaat:
yahaan say RenovaMusic say mutalliq intakhaabaat kee fehrist khulaygi.

2.8 bund karna: RenovaMusic iss k istemaal say bund hoga.
3. talash:
ab hum yeh jaanain-gay, k RenovaMusic main maujood, talash say mutalik intakhaabat ka istamal kaisay kia ja sakta hai.
3.1.1. mosiqi, playlist yaa channel:
kissi naghmay, playlist, yaa channel ke talash kartay huay, enter dabaahnay par aap k saamnay likhnay ke jagah aayghi, aur essa kartay waqt, agar aap tab ka istamal karaingay, toh ayk fehrist aap k saamnay hogi, jjismay mohsiqi, playlist, yaa channel may say kissi ayk ka intakhaab karnay k baad, jo aap talash karna chahtay hain, ussay darj karain, aur enter dabaain, yaa OK button ka istamal karain.
3.1.2. nataaij ke fehrist may, aap page up , yaa page down k istemaal say duss nataaij ka faasla tai kar sakaingay, aur home yaa end ka button, nataaij ke fehrist ke shuruaat, aur aakhir main jaanay may maddad karta hai.

3.2. doosray servers par talash.

3.3. kissi khaas mulk ke mohsiqi ke talash:
agar aap kissi doosray mullk, yaa apnay he mulk ke koi khaass mosiqi sunaa chaahtay hain, toh iss ka istemaal karain.

3.4. radio: matlooba radio ke talash karain.

3.5. radio database: yeh un radios ke fehrist ko aap k saamnay lata hai, jinhain istemal kardaaon nay khud is fehrist may shaamil kiya hai, is fehrist may apni jaanib say radio shaamil karnay k lieay control plus p ka istemal karain. pehli baar essa kartay huay aap ko password rakhnay ko kaha jaay-ga. issay yaad rakhain, kiun k waqt aanay par, radio may matlooba tabdeeliaan karnay, yaa issay hataahnay k liyay aap ko iss kee zaroorat hohgi.
3.6. taiyaar ke gaie playlist: istemal kardaaon k zarieay taiyaar ke gaie playlist ka istemal karain.
3.7. URL: yahaan aap say, seedhay taur par, URL paste karnay ko kaha jaay-ga. bus paste karain, aur ok ka button dabaain, yaa enter ka istemal karain. is dauraan, agar aap tab ka istemal kartay hain, toh aap audio, yaa vidio may say matlooba format ka intakhaab kar sakaingay. yahan say youtube k sabbhi channels yaa playlists k alawa, doosray servers, facebook, aur dailymotion say download karna bheeh munqin hai.

4. mosiqi yaa playlist ko chalaahna:
4.1. nataaij kee fehrist may say mosiqi chalaahna:
nataaij kee fehrist may say mosiqi chalaahnay k liyay enter button kaa istemaal karain, yaa kissi bheeh naghmay k naam par rehtay huay application key kaa istemaal karain, aur arrow key kaa istemaal kartay huay matlooba intakhaab karain aur enter dabaain.
F1: playlist may mode may matlooba tabdeeliaan karnay k liyay. yeh tabbbhi kaam karayga jab aap kissi playlist may hohn.
tab: iss kaa istemaal kartay huay aap naataaij kee fehrist aur player, dono ko daykh sakaingay. yeh tabbhi kaam karayga jab aap nay nataaij kee fehrist say kissi naghmay kaa intakhaab kar liya ho.
control+d: nataaij kee fehrist may rehtay huay uss nateehjay kaa link aap ko fraham karayga, jahaan aap kaa cursor hoga, aur ussay aap seedhay vlc jesay kissi bheeh media player may chala sakaingay.
space: yeh uss naghmay yaa vedio kaa kul waqfa bataayga, aur yeh bheeh k yeh kiss channel may irsaal kiya gaya hai.
ab hum kuch khaass commands kaa zikkar yahaan karna chaahain-gay, jin kaa istemaal aap kissi mosiqi ko suntay waqt kar saktay hain.
space: mosiqi k chalaahnay yaa roaknay k liyay.
up aur down arrow: awaaz barhaahnay yaa ghataahnay k liyay.
right yaa left arrow: iss k istemaal say aap mosiqi ko aagay barha yaa peechay lay aa saktay hain. agar iss kaa istemaal control k saath kiya jaay toh yeh ayk minute k hisaab say aagay yaa peechay jaayga.
f5 k zariyay aap kissi khaass minute par seedhay pohonch saktay hain.
t: mosiqi kaa kul aur bacha hua waqfa aap ko bataahta hai.
v: mosiqi kee awaaz feesad may bataahta hai.
n: jaari naghmay kaa naam bataahta hai.
l: nahgmay kaa link clipboard par copy karta hai.
c: naghmay kaa naam clipboard par copy karta hai.
y: jaari naghmay k alfaaz aap k saamnay paysh karta hai. issay bund karnay k liyay escape kaa istemaal karain.
control+y: uss zubaan may alfaaz paysh karta hai jiss may program ko tayyaar kiya gaya hai.
control+s: alfaaz dikhaahtay huay, alfaaz yaa uss k tarjumay ko file may mehfooz karta hai.
q: maujooda output devices kee fehrist paysh karta hai.
f2: gain chalaahnay yaa bund karnay k liyay. f3 say yeh barhti hai aur f4 say kum hohti hai.
f8: subtitles chalaahta hai, agar maujood hohn toh.

4.2. URL k zariyay mosiqi chalaahna:
program may yeh sahoolat bheeh fraaham kee gaie hai. buss iss kaa istemal karnay k liyay enter dabaain, aur URL daakhil karain. essa karnay k baad enter dabaain, yaa tab k istemaal say play button kee talaash karain. iss kaa istemaal kartay huay apnay computer may mehfooz kiyay gaay naghmay chalaahna bheeh mumqin hai.

4.3. mosiqi download karna:
RenovaMusic k zariyay mosiqi ko download karnay k liyay nataaij kee fehrist may matlooba naghmay par ja kar application key kaa istemaal kar k matlooba intakhaab karain.
control+d say mosiqi ko audio k taur par, aur control+shift+d k istemaal say vidio k taur par download karna mumqin hoga.
download kee gaie files ko RenovaMusic k folder may mehfooz kiya jaata hai. aap iss may matlooba tabdeehliaan bheeh kar saktay hain.
aap nataaij kee fehrist may rehtay huay control+l k istemaal say matlooba naghmay k link ko copy bheeh kar saktay hain.

4.4. playlist yaa channels ko download yaa jin kaa link copy karna:
kissi playlist yaa channel ko download karnay k liyay matlooba intakhaab karnay k baad aplication kaa istemaal karain, yaa control+d yaa control+shift+d kaa istemaal karain.
agar aap alag alag jagah say alag alag naghmay download karna chahtay hain, toh yeh bheeh mumqin hai k aap apni playlist bana lain.
essa karnay k liyay nataaij kee fehrist may rehtay huay matlooba naghmay par ja kar control+a kaa istemaal kartay huay uss naghmay ko playlist may shaamil karain.
iss k baad menu may URL kaa intakhaab karain aur type karain: playlist.m3u aur uss playlst ko apna passandeeda naam dain.

4.5. playlist yaa channel ko daakhil karain:
wahi cheez, laykin ab aap ko matlooba intakhaab karna hoga. aur agar aap theek samjhain, toh enter dabaain.
playlist yaa channel k link ko copy karnay k liyay matlooba intakhaab karain yaa control+l ka istemmaal karain.
iss tayyaar kee gaie playlist kee files playlist k folder may mehfooz kee jaain-gie.
uss din kee tareekh k naam k saath ayk folder tayyaar hoga aur jesay jesay files download hohngi, unhain uss folder may mehfooz kar diya jaayga.

5. shortcuts:
in sub baaton ko samajhnay k baad chalain ab RenovaMusic say mutalliq kuch shortcuts say aap kaa taaruf kara dain, jin kaa istemaal kaafi faayday-mund ho sakta hai:
alt+p: youtube par talaash k liyay.
alt+m: doosray servers par talaash k liyay.
alt+r: mosiqi chalaahnay k liyay.
alt+c: folder ko tabdeel karnay k liyay.
alt+v: audio ko may tabdeel karnay k liyay.
alt+o: matlooba intakhaabaat.
alt+f4: program ko bund karain.
alt+a: mumaahliq.
alt+u: URL.
alt+d: downloads k muntakhib-shuda folder may jaanay k liyay, jahaan mosiqi ko mehfooz kiya jaayga.
alt+s: passandeeda talaash.
alt+f: passandeeda vedio.s
alt+l: passandeeda playlist.
alt+c: passandeeda channel.
alt+z: folder chalaahnay k liyay.
alt+g: radio kee talaash k liyay.
alt+x: tayyaar kee gaie playlist.
alt+i: passandeeda radio.
alt+n: istemaal kardaao kee jaanib say shaamil kiyay gaay radios.

6. kaamyaabi kaa sehra:
yeh program renovagames kee jaanib say tayyaar kiya gaya hai.
kissi bheeh arah kaa mashwara daynay k liyay yaa bug report karnay k liyay renovagames1221@gmail.com par e-mail k zariyay raabta karain.